Sukhi Roti

A girl looking out of window
Apne kamre ki chaar diwari se jhankar dekha toh,
Park mein kuch jawan, buddhe aur bachhe ghum rahe the,
Shayad Corona ko koi rishwat di hai inhone,
Ya shayad inki tarah Corona bhi niyamon ko nahi maanta,
Wo toh sirf hota hai auron ko, bas inko nahi hota,
Mujhe bhi mahino baad apna ye pinjara khalne laga hai,
Garma garam chhole bhature, chatpat chat khaane ko dil machalne laga hai,
Aankhir kyun na main bhi thekon par lage huzoom ki tarah,
Sadak kinaare thelon par apni talab mitaun?
Ye Lockdown toh sirf kaagazon par hai waise bhi,
Sadak par badhti bheed mein main bhi bheed badhaun?
Aankhir desh bachane ki jimmedari toh hamesha auron ki hoti hai,
Corona ko chadh rahi hai jo bali wo toh auron se hi shuru hoti hai…

Aaj ghar baithe baithe log thakne lage hain,
Jis kaam se dur bhaagne ko chhutiyon ke liye taraste the,
Kehte the ek baar chhuti aa jane do, parivaar ke saath baithenge,
Maa ke pairon ke pass baithenge,
Unhe ab naukri azeez lagne lagi hai,
Ab wo hi parivaar se, maa baap se thakne lage Hain,
Haan jao tum bahar, zindagi bhi hans rahi hogi,
Jis company ke liye tum apne parivaar ko khatre mein daal rahe ho,
Kya wo tumko Corona ke saath bhi rakhegi?
Jab tumhara jism sadne lagega haspatal ke murdaghar mein,
Kya tumko tumhari ye naukri kandha degi?
Na dekh sakoge apno ko ek nazar aankhri baar,
dil ki kayi hasratein tumhari sang hi dafan ho jayengi,
Tumhare ghar mein bhi toh hain bachhe buddhe,
Inki arthiyon ko aag dena pade,
Kya tumhari naukri itni jaruri hai?

Tum khudkismat ho ki, tumhari koi majburi nahi hai,
Sadak par khade rahne wale havaldaar,
Khud ki jaan ko hatheli par rakhte nurse-doctor,
Jaisi koi duty nahi hai,
Parivaar hi shayad sab kuch hai,
Apna ghar hi aasra, shayad sabse surakshit maa ki god hi hai,
Isi umeed mein lakhon majdur apne ghar ko nikal pade hain,
Kahin hain nange khun se sane pair,
Toh kahin par pani ki bottle chappal bani hai,
Truck par boron se ladhkar,
Cycle, auto, kandhon par desh ki majburi chal rahi hai,
Aaj desh majbur hai,
Neta majbur hai, abhineta majbur hai,
Khilaadi majbur hai, sainik majbur hai,
Jo nahi dikhta us dushman ke saamne sab majbur hai,
Par shyaad apne AC kamre ki thandak mein mujhe ye majburi samajh nahi aayegi,
Na bikne ki wajah se sadakon par barbaad padi kisaan ki majburi mujhe samajh nahi aayegi,
Bhare pet se jo main aaj apni chaukhat ko laangne ke liye bekrar hun,
Mujhe train ki patri ke paas kati padi wo chand sukhi rotiyon ki bhukh kya samajh aayegi…
-N2S