Aaj Bhi

Boy walking on school corridor

Yun toh kehne ko baatein bahut hain,
Labon pe aate aate ve geenti mein kam ho jate hain,
Tum hi rehti ho khyalon mein din raat,
Ham kabhi kabhi hi ye baat keh paate hain,
Ajeeb hai fitrat is dil ki,
ek daur tha tumhara naam pukaarne ke liye bhi taraste the,
Ab jo parwaah karne lagi ho,
tum se na jane kya sunna chahta hai,
Khwahishein puri kabhi na hongi,
Hasraton ko kahan kabhi chain aata hai,
Kaash tum mujhe mil jao unhi school ki galiyon mein,
Jahan aaj bhi tumko dekhte hi mera dil ruk jata hai…
-N2S
20062016

Sukhi Roti

A girl looking out of window
Apne kamre ki chaar diwari se jhankar dekha toh,
Park mein kuch jawan, buddhe aur bachhe ghum rahe the,
Shayad Corona ko koi rishwat di hai inhone,
Ya shayad inki tarah Corona bhi niyamon ko nahi maanta,
Wo toh sirf hota hai auron ko, bas inko nahi hota,
Mujhe bhi mahino baad apna ye pinjara khalne laga hai,
Garma garam chhole bhature, chatpat chat khaane ko dil machalne laga hai,
Aankhir kyun na main bhi thekon par lage huzoom ki tarah,
Sadak kinaare thelon par apni talab mitaun?
Ye Lockdown toh sirf kaagazon par hai waise bhi,
Sadak par badhti bheed mein main bhi bheed badhaun?
Aankhir desh bachane ki jimmedari toh hamesha auron ki hoti hai,
Corona ko chadh rahi hai jo bali wo toh auron se hi shuru hoti hai…

Aaj ghar baithe baithe log thakne lage hain,
Jis kaam se dur bhaagne ko chhutiyon ke liye taraste the,
Kehte the ek baar chhuti aa jane do, parivaar ke saath baithenge,
Maa ke pairon ke pass baithenge,
Unhe ab naukri azeez lagne lagi hai,
Ab wo hi parivaar se, maa baap se thakne lage Hain,
Haan jao tum bahar, zindagi bhi hans rahi hogi,
Jis company ke liye tum apne parivaar ko khatre mein daal rahe ho,
Kya wo tumko Corona ke saath bhi rakhegi?
Jab tumhara jism sadne lagega haspatal ke murdaghar mein,
Kya tumko tumhari ye naukri kandha degi?
Na dekh sakoge apno ko ek nazar aankhri baar,
dil ki kayi hasratein tumhari sang hi dafan ho jayengi,
Tumhare ghar mein bhi toh hain bachhe buddhe,
Inki arthiyon ko aag dena pade,
Kya tumhari naukri itni jaruri hai?

Tum khudkismat ho ki, tumhari koi majburi nahi hai,
Sadak par khade rahne wale havaldaar,
Khud ki jaan ko hatheli par rakhte nurse-doctor,
Jaisi koi duty nahi hai,
Parivaar hi shayad sab kuch hai,
Apna ghar hi aasra, shayad sabse surakshit maa ki god hi hai,
Isi umeed mein lakhon majdur apne ghar ko nikal pade hain,
Kahin hain nange khun se sane pair,
Toh kahin par pani ki bottle chappal bani hai,
Truck par boron se ladhkar,
Cycle, auto, kandhon par desh ki majburi chal rahi hai,
Aaj desh majbur hai,
Neta majbur hai, abhineta majbur hai,
Khilaadi majbur hai, sainik majbur hai,
Jo nahi dikhta us dushman ke saamne sab majbur hai,
Par shyaad apne AC kamre ki thandak mein mujhe ye majburi samajh nahi aayegi,
Na bikne ki wajah se sadakon par barbaad padi kisaan ki majburi mujhe samajh nahi aayegi,
Bhare pet se jo main aaj apni chaukhat ko laangne ke liye bekrar hun,
Mujhe train ki patri ke paas kati padi wo chand sukhi rotiyon ki bhukh kya samajh aayegi…
-N2S

Raat Ab Nahi Soti

a hand resting on a window glass

Raat ab nahi soti,
Din hai ki shuru nahi hota,
Kal ka intejaar kya karun ab,
Aaj hai ki khatm hi nahi hota,

Band hun aise pinjre mein,
Jisme salakhein nahi hain,
Ye char diwari jo ban gayi hai meri kaid,
Kehti hai isme meri hi bhalai hai,

Pehle aadat thi akelepan ki,
Shauk hua karta tha khud ko akela kehna,
Aaj tanhayi mili hai arse baad muraad mein,
Toh majburi hi ho gaya akela rehna,

Ajeeb si khamoshi pasri padi hai sadkon par,
Par dil mein kohraam macha hai,
Subah se shaam beet gayi auron ko tasalli dete dete,
Par andar khud ko khud ka hi nahi pata hai,

Shikayat thi logon ki pehle,
Khud ke liye waqt hi nahi hai,
Aaj waqt ki balti jo chhalki,
Logon ke paas karne ko kuch hi nahi hai,

Insaan band hain kamron mein,
Kudrat ko shayad thodi saans mili hai,
Fursat nahi thi jin rishton ko pehle kabhi,
Unko bhi ab chhuti mili hai,

Sona chahti hain palkein,
Par raat ab nahi soti,
Subah toh hogi jarur,
Par din hai ki shuru nahi hota,
Kal ka intezaar kya karun ab,
Mera aaj hi khatm nahi hota…
-N2S
26032020

Tere Jaane Ke Baad

silhouette of a man sitting
जाने क्या क्या गुज़रती है दिल पे,
जब तुम आ जाती हो नज़रों के सामने,
कह भी नहीं पाते,
और बयान करने को अलफ़ाज़ नहीं मिलते,

तुम पे कोई हक़ भी नहीं,
ना ही तुम से कोई रिश्ता है,
पर जब तुम दूर जाती हो,
गुमसुम सा दिल लिए फिरते हैं,

अब ये आलम है की,
खुद का हाल पूछता हूँ,
तेरे आने से पहले और
तेरे जाने के बाद…
-N2S
26092015

Nazarein

A metro compartment
ऐसे जो तुम्हारी नज़रें मुझ पे रुकी हैं,
और फिर मुझसे नज़रें मिलने पे इधर उधर देखने लगी हैं,
कुछ कहना है क्या इन्हे या बस ये ऐसे ही शरारती हैं,
छूने की जरुरत भी नहीं,
ये नज़रों की मोहब्बत है, इन्हे जिस्मों की जरुरत नहीं,
तुम बैठे रहो ऐसे ही,
इन लम्हों की खातिर, थोड़ी देरी ही सही,

फिर चली जाओगी तुम अपने रास्ते, बिना कुछ कहे,
और जो मेरी नज़रें तुम्हारे साथ चलने लगे,
अलविदा कहने,
मैं कुछ नहीं कहूंगा, तुम भी कुछ न कहना,
मुड़कर बस एक बार, मुस्कुराकर इस मुलाक़ात को यूँही इसी
हसीन मोड़ पर ख़त्म कर देना…
-N2S
17122019